Friday, August 8, 2008

for someone...

jahn teri julfe hai hai sawan wahin hai,
jahan teri palke hai hai sajhan wahi hai,
wo komal sa sparsh tere haatho ka wahin hai,
jahan tere aane ki khusboo wahi hai,
wo rimjhim barasna baarish sa tera,
wo jhunmun jhamakna samandar sa tera,
wo titli si chulbulahat, wo hansini se sadigi,
wo chidaya sa chehchahana, wo papihe si boli,

yaad aya wo saadigi se bhara pal,
jise doondha tha humne har pal,
band palkon mein dekha hai tumhi ko har pal,
tumhi ho wo sajag aur akaash si viral,
jisse poora kar paya na sagar ka jal,

hummein yaad aatey ho,
pal mein sama jaatein ho,
doonde tumhein kahan, doonde tumhein kahan,
sajagta nahi hai, jal si viralta,
jana kahan tha, kissa kahan tha...
tum saath ho ab aise...
tulna karein kaise...



apka apna